Penis Hardness and Penis Erection Problem
Painful Erection Tanau ka ek hi meyar hai agar mian Sex kay waqt apney Penis ko biwi ki Vagina mein dakhil kardey to uss ka tanau bilkul normal hai. Ta’hum ek baat yaad rahey kay insaani Penis kisi sakht cheez ya haddi ka bana hua nahin hai bul kay yeh narm gosht ka bana hua hai jo kay khoon ki naliyon mein zyada khoon janey sey tunn jata hai aur sakht ho jata hai. Tanau ki surat mein Penis kay bohut zyada sakht honay ki tawaqqa nahin ki ja sakti. Yeh ek bilkul normal kaifiyat hai.Penis Hardness and Penis Erection Problem
Tanau Kay Waqt Penis Mein Dard (Painful Erection)
Ba’az naujawan Penis mein tanau kay waqt dard mehsoos kartey hain iss ki wajoohaat mein zyada aam wajah maqami chot, ulcer, peeshab ki nali ya prostate gland mein sozish hai. Iss kay elawa Penis ka bohut zyada terha pan Peyroie’s Disease hai. Iss surat mein kisi achey urologist sey raabta karein.
Kamyaab sexy Amal Kay Liye Penis Ka Bohut Sakht Hona Zaroori Hai?
Aksar naujawanon ka khayal hai kay biwi ki Sex tasalli (sexual satisfaction) kay liye Penis ka bohut sakht hona zaroori hai. Allah Ta’ala ney Penis bohut hi narm o nazuk Vagina mein dakhil honay kay liye banaya hai na kay deewar mein soorakh karney kay liye. Ta’hum 17 ta 19 saal ki umer mein fard ka Penis tanau mein bohut sakht (hard) hota hai. Iss umer mein isey jins e mukhalif kay liye istaemal nahin kya jata, chunancha adam istaemaal aur umer kay barhney kay sath sath iss ki sakhti mein qadrey kami aa jati hai jo kay ek bilkul normal amal hai.
Less Erection – Penis Hardness Mein Kami Sex Kamzori Ki Alamat
Aurat ki Sex taskeen kay liye Penis kay sakht akrrao (hardness) ki hargiz zaroorat nahin. Hyte report sey bhi yehi sabit hua kay aurton ki aksaryat bohut sakht Penis aur zordaar jhatkon aur zarbaat (strokes) ko pasand nahin karti. Penis ko kisi qadar sakht hona chahiyie, ta’hum iss ka koi paemana nahin. Iss ka ek hi meyar hai kay Vagina mein daakhil ho jaey. Penis Hardness and Penis Erection Problem
Penis ki Hardness Mein Pehley Sey Kami (Less Erection) Sex Kamzori Ki Alamat?
Kuch afraad jab unn ki umer 30 saal sey zyada ho jati hai to woh apney Sex jazbaat ki shiddat mein kuch kami aur Penis kay tanau ki taaqat (strength) mein 17/18 saal ki umer ki nisbat qadrey kami mehsoos kartey hain, jo agarcha bohut ma’amooli hoti hai magar yeh afraad pareshan ho jatey hain. Sex jazbaat ki shiddat aur Penis ka tanau aur akrrao (hardness) 15 aur 20 saal ki umer kay doran bohut zyada hota hai. Neem hakeem iss ma’amooli kami ka ba’es mushtzani ya kasrat-e-jama’a (frequent intercourse) ko qarar detey hain. Yeh kaifiyat aur ma’amooli kami pareshani ka sabab nahin honi chahiyie kyun kay umer kay barhney kay sath sath jism kay har uzu ki taqat mein kami aa jati hai. Yeh cheez khel kay maedan mein bohut numaya’n hai. Aksar khelon kay numaya’n khilarri 20/25 saal ki umer kay lug bhug hotey hain. Magar 25 saal kay ba’ad inn ki karkardagi (strength) pehley ki tarah nahin rehti. International khelon mein 30 saal sey zyada umer ka khilarri shazz hi hota hai.
Erection Problems Solutions
Yani 30 saal ki umer mein fard jismani tor per 20 saal ki umer ki tarah mu’asser (efficient) nahin hota. Agarcha iss ki karkardagi bilkul khatam nahin ho jati. Penis kay sath bhi yehi mu’amla hai. Yani umer kay barhney kay sath doosrey jismani a’aza ki tarah Sex jazbaat ki shiddat aur Penis kay tanau aur sakhti mein qadrey kami aa jati hai. Yeh ek fitri amal hai jis sey pareshan honay ki zaroorat nahin. (Penis ki sakhti mein kami kay bawajood agar fard ki amoomi sehat theek hai to woh martey dum tk Sex kay qabil hota hai, agarcha 60 saal kay ba’ad ba’az logon ko shakhsi (self) ya biwi ki taraf sey ishte’aal (stimulation) ki zaroorat parrti hai). Penis Hardness and Penis Erection Problem
Kya Apni Marzi Sey Penis ko Hard Kya Ja Sakta Hai?
Ba’az naujawanon ka khayal hai kay jis tarah fard apni marzi sey jab chahey apni ungli ya bazu ko khara krsakta isi tarah woh apni marzi sey jab bhi chahey apney Penis ko akrra sakta hai. Magar jab woh aisa nahin kar pata to pareshan ho jata hai aur apney aap ko Sex tor per kamzor aur na mard khayal karta hai. Yeh baat zehen mein rakhein kay tanau ka ta’alluq fard kay dimagh aur jism kay sath hai aur yeh tanau apni marzi, khwahish aur hukum (order) sey paeda nahin kya ja sakta yani koi fard humesha apni marzi sey tanau paeda nahin karsakta. Isi liye mahireen kehtey hain kay apni marzi sey har cheez hasil ki jasakti hai siwaey tanau kay. Darasal yeh bhook ki tarah ka ek uzwiati (physiological) amal (process) hai jis tarah koi fard apni marzi sey bhook paeda nahin kar sakta isi tarah Penis Hardness and Penis Erection Problem
Penis Erection Problems Solutions
Tanau (erection) bhi apni marzi sey paeda nahin kya ja sakta. jis tarah bhook paeda honay kay liye munasib uzwiati aur maholi (environmental) halaat (circumstances) zaroori hain, isi tarah tanau (erection) paeda karney kay liye bhi munasib uzwiati aur maholi muhij (stimulus) ka hona zaroori hai. Fard sirf uss waqt bhook mehsoos karta hai jab khana khaey kuch waqt guzar gaya ho. Iss kay elawa mahol aur khana kitna hi acha aur lazeez ho yeh awamil bhi bhook per asar andaz hotey hain. Isi tarah Penis (penis) mein tanau (erection) jab hoga jab fard jins (sex) kay hawaley sey sochey ga, parhey ga, dekhey ga, suney ga ya lums mehsoos karey ga waghaera. Yeh cheezein tanau (erection) kay liye muheej hain. Kyun kay kisi bhi fard ko apney tanau (erection) per control nahin. Isliye ba’az auqaat fard ko kisi namunasib jagah maslan class room ya ghar mein maan baap kay samney tanau ho jata hai. Jisey woh shaoori tor per khatam nahin kar sakta aur sharminda hota hai. Yani tanau per fard ko shaoori control nahin. Iss tarah naujawan apney tanau ko check karney kay liye kisi paeshawar aurat kay paas jatey hain, magar wahan kkoshish kay bawajood unn ko tanau nahin hota aur phir unn ko yaqeen aa jata hai kay woh biwi kay qabil nahin. Guzishta dinon merey paas ek naujawan larka elaj kay liye aya. Isey yaqeen tha kay woh na mard hai jab uss ka nafsiyati tajziya kya gaya to ma’aloom hua kay uss ko kaee baar zina ka moqa mila. Uss ney koshish bhi ki magar ehsas-e-gunah aur khauf ki wajah sey usey tanau hi na hua.
Thanks very interesting blog!
Mera ling ki size bahut kam hai ?